Website ko dobara se Search Engine me Index karaye aur Sitemap ko dobara se activate kare.

Website ko search engine me re-index karane ka ek naya tarika.

Yadi aap ek blogger hai to aapko yah pata hi hoga ki agar aapki Website ya Blog Daily ke PageViews aur Impression ko hajaro ya lokhon me lane me kamyab ho jata hai to aapko Google Adsense me Dollars ko kamane se koi nahi rok sakta. Magar kya ho agar aapki Website ke PageViews aur Impression dhire-dhire Search Engine se Gayab ho jaye.  Ji Haa aajkal yahi ho raha hai. Chand hi dino me Website poori tarha se Search Engine se gayab ho ja rahi hai. Jaha Clicks, PageViews aur Impressions hajaro tatha lakho me aaya karte the vahi page views keval 500 se 1000 tak hi aa rahe he.

Google-Penalized-your-website

Google-Penalized-your-website

Yah kisi bhi Blogger ke liye jisne saalo ki mehnat ke baat apni Website ko unchaion tak pahuchaya hota he uske liye ek bure sapne se kam nahi.

Is post ke madhyam se mein yahi bataunga ki kis tarha apni Website ko dobara se Google Serach me index kare aur sath hi Sitemap ko fir se active kare.

Sabse pahle yadi aapki Website ke sath bhi yahi sab ho chuka ho ya ho raha ho to iska ek asardar tarika hai aap naya Domain Name Book karaye jo ki aapki Website ke subject se mel khata ho. Phir purane domain ke saath naye domain ko Redirect kara lo. Purane domain ke saath complete redirect karane ke liye 301 Redirect tarike ka upyog kar sakte hai.

Is ke saath aapko yah bhi dhyan dena hoga ki naye domain me bhi penalty ka khatra mendra sakta hai parantu aapko yah khatra uthana hi padega. Kyoki yadi aapki website google se ekdum gayab ho gai he to shayad website go penalize kiya ho. To jo naya domain hoga uspar bhi penalize ka asar aa sakta hai. Naya domain aapki Website ke usi content ko represent kar raha he jo shayad penalize ho chuka he.

Jab sab kuch theek dhang se set ho jaye to aapko kuch hi dino me apni Website me yah lakshan likhne lagenge :-

  • Aapki Website ke sabhi keywords dobara se rank ho gye hai aur apni vastvik position me aa gye hai.
  • Naya Domain jo ki purane domain se redirect karaya tha vah bhi search engine se traffic lane laga he
  • Aur kuch hi samay me naya domain vahi sthan prapt kar lega jo ki purane domain ka hua karta tha.
  • Aapki Website Google Search me bhi pehle ki tarha Indexed ho chuki he.

Yah ek Aajmaya hua method he jo ki bahut se bloggers ne aajmaya ha jab unki Website Search Engine se penalize ho gai thi.

Sending
User Review
0 (0 votes)

Leave a Reply